kis qadar zulm Dhāyā karte the
ye jo tum bhuul jaayā karte the
kis kā ab haath rakh ke siine par
dil kī dhaḌkan sunāyā karte the
ham jahāñ chaa.e piine jaate the
kyā vahāñ ab bhī aayā karte the
kaun hai ab ki jis ke chehre par
apnī palkoñ kā saaya karte the
kyoñ mire dil meñ rakh nahīñ dete
kis liye ġham uThāyā karte the
phone par giit jo sunāte the
ab vo kis ko sunāyā karte the
āḳhirī meñ is ko likkhā hai
tum mujhe yaad aayā karte the
kis qadar zulm Dhāyā karte the
ye jo tum bhuul jaayā karte the
kis qadar zulm Dhaya karte the
ye jo tum bhul jaya karte the
kis ka ab hath rakh ke sine par
dil ki dhaDkan sunaya karte the
hum jahan chae pine jate the
kya wahan ab bhi aaya karte the
kaun hai ab ki jis ke chehre par
apni palkon ka saya karte the
kyon mere dil mein rakh nahin dete
kis liye gham uThaya karte the
phone par git jo sunate the
ab wo kis ko sunaya karte the
aaKHiri mein is ko likkha hai
tum mujhe yaad aaya karte the
kis qadar zulm Dhaya karte the
ye jo tum bhul jaya karte the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.