kis roz ilahi wo mera yar milega
kis roz ilāhī vo mirā yaar milegā
aisā bhī kabhī hogā ki dildār milegā
juuñ chāhiye vuuñ dil kī nikālūñgā havas maiñ
jis din vo mujhe kaif meñ sarshār milegā
ik umr se phirtā huuñ liye dil ko baġhal meñ
is jins kā bhī koī ḳharīdār milegā
mil jā.egā phir aap se ye zaḳhm-e-jigar bhī
jis roz ki mujh se vo sitamgār milegā
ye yaad rakh ai kāfir-e-bad-kesh qasam hai
mujh sā na koī tujh ko giraftār milegā
'īmān' na kahtā thā maiñ tujh se ye hamesha
jo shoḳh milegā so dil-āzār milegā
kis roz ilahi wo mera yar milega
aisa bhi kabhi hoga ki dildar milega
jun chahiye wun dil ki nikalunga hawas main
jis din wo mujhe kaif mein sarshaar milega
ek umr se phirta hun liye dil ko baghal mein
is jins ka bhi koi KHaridar milega
mil jaega phir aap se ye zaKHm-e-jigar bhi
jis roz ki mujh se wo sitamgar milega
ye yaad rakh ai kafir-e-bad-kesh qasam hai
mujh sa na koi tujh ko giraftar milega
'iman' na kahta tha main tujh se ye hamesha
jo shoKH milega so dil-azar milega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.