kis safar mein hain ki ab tak raste nadida hain
kis safar meñ haiñ ki ab tak rāste nādīda haiñ
āsmāñ pe sham.eñ raushan haiñ magar ḳhvābīda haiñ
kitnī nam hai āñsuoñ se ye sanam-ḳhāne kī ḳhaak
ye tavāf-e-gul ke lamhe kitne ātish-dīda haiñ
ye gulistāñ hai ki chalte haiñ tamannāoñ ke ḳhvāb
ye havā hai yā bayābāñ ke qadam larzīda haiñ
ek bastī 'ishq kī ābād hai dil ke qarīb
lekin is bastī ke raste kis qadar pechīda haiñ
aaj bhī har phuul meñ bū-e-vafā āvāra hai
aaj bhī har zaḳhm meñ tere karam poshīda haiñ
aaj ghar ke aa.ine meñ sub.h se ik shaḳhs hai
aur khiḌkī meñ sitāre shaam se pechīda haiñ
rahguzar kahtī hai jaag ai māhtāb-e-shām-e-yār
ham sar-e-bāzār chalte haiñ magar ḳhvābīda haiñ
aa.ine meñ kis kī āñkheñ dekhtā huuñ maiñ 'jamīl'
do kañval haiñ biich paanī meñ magar nam-dīda haiñ
kis safar mein hain ki ab tak raste nadida hain
aasman pe shamen raushan hain magar KHwabida hain
kitni nam hai aansuon se ye sanam-KHane ki KHak
ye tawaf-e-gul ke lamhe kitne aatish-dida hain
ye gulistan hai ki chalte hain tamannaon ke KHwab
ye hawa hai ya bayaban ke qadam larzida hain
ek basti 'ishq ki aabaad hai dil ke qarib
lekin is basti ke raste kis qadar pechida hain
aaj bhi har phul mein bu-e-wafa aawara hai
aaj bhi har zaKHm mein tere karam poshida hain
aaj ghar ke aaine mein subh se ek shaKHs hai
aur khiDki mein sitare sham se pechida hain
rahguzar kahti hai jag ai mahtab-e-sham-e-yar
hum sar-e-bazar chalte hain magar KHwabida hain
aaine mein kis ki aankhen dekhta hun main 'jamil'
do kanwal hain bich pani mein magar nam-dida hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.