kis saliqe se dil jalata hai
kis salīqe se dil jalātā hai
jo bhī kahtā huuñ maan jaatā hai
jab uThātā huuñ bazm-e-dil se use
aa ke āñkhoñ meñ baiTh jaatā hai
jaan kar maiñ sadā nahīñ detā
ādatan dil use bulātā hai
dūsroñ kī sajā.ī mahfil meñ
terā hañsnā mujhe rulātā hai
rūThnā chhoḌ hī diyā tum ne
is tarah kaun āzmātā hai
itifāqan maiñ yaad kartā huuñ
intiqāman vo yaad aatā hai
mujh ko chhūtā hai ehtiyāt ke saath
aur rasman gale lagātā hai
kis saliqe se dil jalata hai
jo bhi kahta hun man jata hai
jab uThata hun bazm-e-dil se use
aa ke aankhon mein baiTh jata hai
jaan kar main sada nahin deta
aadatan dil use bulata hai
dusron ki sajai mahfil mein
tera hansna mujhe rulata hai
ruThna chhoD hi diya tum ne
is tarah kaun aazmata hai
itifaqan main yaad karta hun
intiqaman wo yaad aata hai
mujh ko chhuta hai ehtiyat ke sath
aur rasman gale lagata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.