kis se milne jao ab kis se mulaqaten karo
kis se milne jaao ab kis se mulāqāteñ karo
tum akele ho dil-e-tanhā se hī bāteñ karo
phir yuuñ hī mil baiTheñ ham aur dukh bharī bāteñ kareñ
haath uThā kar ye duā māñgo munājāteñ karo
sab parinde apne apne jañgaloñ meñ kho ga.e
ab to hiltī Dāliyoñ se baiTh kar bāteñ karo
ittifāqan ham tumhāre saa.e se guzreñ kabhī
bādalo tum pyaar ke lamhoñ kī barsāteñ karo
ab to jaise is imārat ko bhī chup sī lag ga.ī
khiḌkiyo darvāzo chahko gaao kuchh bāteñ karo
kis se milne jao ab kis se mulaqaten karo
tum akele ho dil-e-tanha se hi baaten karo
phir yun hi mil baiThen hum aur dukh bhari baaten karen
hath uTha kar ye dua mango munajaten karo
sab parinde apne apne jangalon mein kho gae
ab to hilti Daliyon se baiTh kar baaten karo
ittifaqan hum tumhaare sae se guzren kabhi
baadalo tum pyar ke lamhon ki barsaten karo
ab to jaise is imarat ko bhi chup si lag gai
khiDkiyo darwazo chahko gao kuchh baaten karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.