kis tabahi ke ye aasar nazar aate hain
kis tabāhī ke ye āsār nazar aate haiñ
dasht meñ bhī dar-o-dīvār nazar aate haiñ
uTh gayā aañkh se parda ki haqīqat badlī
jitne ġham-ḳhvār the ḳhuñḳhār nazar aate haiñ
sab ke chehroñ pe hai ġham ashk haiñ āvāzoñ meñ
dost sab mujh ko adākār nazar aate haiñ
un ke sīnoñ meñ hai tūfān-e-balā āsūda
ye jo sāhil pe subuksār nazar aate haiñ
kyā haqā.eq ne mire sher kā jaama pahnā
vāqiye sab mire ash.ār nazar aate haiñ
kyā ye sab log haiñ ā.īna-e-hairat terā
sab ke ruḳh par tire anvār nazar aate haiñ
apne daftar meñ hai pindār-e-ḳhudā.ī un ko
ye jo aajiz sar-e-darbār nazar aate haiñ
kis tabahi ke ye aasar nazar aate hain
dasht mein bhi dar-o-diwar nazar aate hain
uTh gaya aankh se parda ki haqiqat badli
jitne gham-KHwar the KHunKHar nazar aate hain
sab ke chehron pe hai gham ashk hain aawazon mein
dost sab mujh ko adakar nazar aate hain
un ke sinon mein hai tufan-e-bala aasuda
ye jo sahil pe subuksar nazar aate hain
kya haqaeq ne mere sher ka jama pahna
waqiye sab mere ashaar nazar aate hain
kya ye sab log hain aaina-e-hairat tera
sab ke ruKH par tere anwar nazar aate hain
apne daftar mein hai pindar-e-KHudai un ko
ye jo aajiz sar-e-darbar nazar aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.