kis tarah lab pe hansi ban ke fughan aati hai
kis tarah lab pe hañsī ban ke fuġhāñ aatī hai
mujh se pūchho mujhe phūloñ kī zabāñ aatī hai
zahr-e-ġham piije to alfāz meñ ras aatā hai
dil ko ḳhuuñ kiije to afkār meñ jaañ aatī hai
ḳhair ho dil kī ki phir lai vahī chheḌī us ne
jaise kashtī kī taraf mauj-e-ravāñ aatī hai
shikan-e-zulf bhī hai husn-e-tarab meñ goyā
khiñch ke har taan meñ tasvīr-e-butāñ aatī hai
baat vo hai jo lab-e-la.al-e-nigārāñ se chale
ḳhuuñ bhī ho dil to ye tāsīr kahāñ aatī hai
phir nazar aatī hai mehrāb-e-haram ḳhālī sī
phir vahī yād-e-butāñ āfat-e-jāñ aatī hai
ḳhush-adāoñ ke suḳhan ek hī saare 'haqqī'
un ko europe meñ bhī dillī kī zabāñ aatī hai
kis tarah lab pe hansi ban ke fughan aati hai
mujh se puchho mujhe phulon ki zaban aati hai
zahr-e-gham pije to alfaz mein ras aata hai
dil ko KHun kije to afkar mein jaan aati hai
KHair ho dil ki ki phir lai wahi chheDi us ne
jaise kashti ki taraf mauj-e-rawan aati hai
shikan-e-zulf bhi hai husn-e-tarab mein goya
khinch ke har tan mein taswir-e-butan aati hai
baat wo hai jo lab-e-lal-e-nigaran se chale
KHun bhi ho dil to ye tasir kahan aati hai
phir nazar aati hai mehrab-e-haram KHali si
phir wahi yaad-e-butan aafat-e-jaan aati hai
KHush-adaon ke suKHan ek hi sare 'haqqi'
un ko europe mein bhi dilli ki zaban aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.