kis tarah rakh lun sath kisi ham-safar ko main
kis tarah rakh luuñ saath kisī ham-safar ko maiñ
pahchāntā huuñ ḳhuub har ik mo'atabar ko maiñ
dāman meñ jis ke khel rahī ho shab-e-siyāh
kaise karūñ qubūl bhalā is sahar ko maiñ
rotā hai dil siyāsat-e-ahd-e-jadīd par
jab dekhtā huuñ ġham se pareshāñ bashar ko maiñ
umr-e-darāz 'ḳhizr' mubārak ho aap ko
apnā rahā huuñ zindagī-e-muḳhtasar ko maiñ
'rahbar' nashāt-o-aish kī manzil qarīb hai
tai kar chukā huuñ ġham kī har ik rahguzar ko maiñ
kis tarah rakh lun sath kisi ham-safar ko main
pahchanta hun KHub har ek mo'atabar ko main
daman mein jis ke khel rahi ho shab-e-siyah
kaise karun qubul bhala is sahar ko main
rota hai dil siyasat-e-ahd-e-jadid par
jab dekhta hun gham se pareshan bashar ko main
umr-e-daraaz 'KHizr' mubarak ho aap ko
apna raha hun zindagi-e-muKHtasar ko main
'rahbar' nashat-o-aish ki manzil qarib hai
tai kar chuka hun gham ki har ek rahguzar ko main
- Book : Raqs-e-Qalam (Pg. 83)
- Author : Rehbar Jaunpuri
- Publication : Mohammad Tariq and Aabshar Ahmad, Shahwar Ahmad (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.