kise KHabar hai ki kis ada par chala gaya hai
kise ḳhabar hai ki kis adā par chalā gayā hai
ye dil ki hairat kī intihā par chalā gayā hai
charāġh andar kī sāzishoñ se bujhe hue haiñ
aur is kā ilzām bhī havā par chalā gayā hai
kabhī to zehnoñ pe zor denā ki vaqt achchhā
hamāre jīvan se kis binā par chalā gayā hai
maiñ apne haq meñ dalīl koī bhī de na paayā
mu’āmla ab mirā ḳhudā par chalā gayā hai
tire buzurgoñ meñ koī ahl-e-suḳhan nahīñ thā
'munīr' tū kis suḳhan-adā par chalā gayā hai
kise KHabar hai ki kis ada par chala gaya hai
ye dil ki hairat ki intiha par chala gaya hai
charagh andar ki sazishon se bujhe hue hain
aur is ka ilzam bhi hawa par chala gaya hai
kabhi to zehnon pe zor dena ki waqt achchha
hamare jiwan se kis bina par chala gaya hai
main apne haq mein dalil koi bhi de na paya
mu’amla ab mera KHuda par chala gaya hai
tere buzurgon mein koi ahl-e-suKHan nahin tha
'munir' tu kis suKHan-ada par chala gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.