kise KHabar jab main shahr-e-jaan se guzar raha tha
kise KHabar jab main shahr-e-jaan se guzar raha tha
Akhtar Hoshiyarpuri
MORE BYAkhtar Hoshiyarpuri
kise ḳhabar jab maiñ shahr-e-jāñ se guzar rahā thā
zamīñ thī pahlū meñ sūraj ik kos par rahā thā
havā meñ ḳhushbueñ merī pahchān ban ga.ī thiiñ
maiñ apnī miTTī se phuul ban kar ubhar rahā thā
ajiib sargoshiyoñ kā aalam thā anjuman meñ
maiñ sun rahā thā zamāna tanqīd kar rahā thā
vo kaisī chhat thī jo mujh ko āvāz de rahī thī
vo kyā nagar thā jahāñ maiñ chup-chāp utar rahā thā
maiñ dekhtā thā ki uñgliyoñ meñ diye kī lau hai
maiñ jāgtā thā ki rañg ḳhvāboñ meñ bhar rahā thā
ye baat alag hai ki maiñ ne jhāñkā nahīñ galī meñ
ye sach hai koī sadā.eñ detā guzar rahā thā
ye chand be-harf-o-saut ḳhāke mirā asāsa
maiñ jin ko ġhazloñ kā naam de kar sañvar rahā thā
zamāna shabnam ke bhes meñ aayā aur duā dī
maiñ zard-rut meñ jab apnī bāhoñ meñ mar rahā thā
mujhe kisī se naqab-zanī kā ḳhatar nahīñ thā
maiñ 'aḳhtar' apne hī jasad-e-ḳhākī se Dar rahā thā
kise KHabar jab main shahr-e-jaan se guzar raha tha
zamin thi pahlu mein suraj ek kos par raha tha
hawa mein KHushbuen meri pahchan ban gai thin
main apni miTTi se phul ban kar ubhar raha tha
ajib sargoshiyon ka aalam tha anjuman mein
main sun raha tha zamana tanqid kar raha tha
wo kaisi chhat thi jo mujh ko aawaz de rahi thi
wo kya nagar tha jahan main chup-chap utar raha tha
main dekhta tha ki ungliyon mein diye ki lau hai
main jagta tha ki rang KHwabon mein bhar raha tha
ye baat alag hai ki main ne jhanka nahin gali mein
ye sach hai koi sadaen deta guzar raha tha
ye chand be-harf-o-saut KHake mera asasa
main jin ko ghazlon ka nam de kar sanwar raha tha
zamana shabnam ke bhes mein aaya aur dua di
main zard-rut mein jab apni bahon mein mar raha tha
mujhe kisi se naqab-zani ka KHatar nahin tha
main 'aKHtar' apne hi jasad-e-KHaki se Dar raha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.