kise KHabar thi hawa rah saf karte hue
kise ḳhabar thī havā raah saaf karte hue
merā tavāf karegī tavāf karte hue
maiñ aisā hañs rahā thā e'tirāf karte hue
ki vo to ro paḌā mujh ko muaaf karte hue
ab is se baḌh ke mohabbat kā kyā sila miltā
vo merā ho gayā sab ko ḳhilāf karte hue
bas ek pyaar ne sālim rakhā hameñ yaaro
raqīb mar ga.e ham meñ shigāf karte hue
use manāne meñ ham ne gañvā diyā us ko
ki shīsha TuuT gayā dhuul saaf karte hue
hamārī niiñd ke pīchhe chhupī hai tābānī
charāġh so ga.e ye inkishāf karte hue
kise KHabar thi hawa rah saf karte hue
mera tawaf karegi tawaf karte hue
main aisa hans raha tha e'tiraf karte hue
ki wo to ro paDa mujh ko muaf karte hue
ab is se baDh ke mohabbat ka kya sila milta
wo mera ho gaya sab ko KHilaf karte hue
bas ek pyar ne salim rakha hamein yaro
raqib mar gae hum mein shigaf karte hue
use manane mein hum ne ganwa diya us ko
ki shisha TuT gaya dhul saf karte hue
hamari nind ke pichhe chhupi hai tabani
charagh so gae ye inkishaf karte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.