kise malum haal-e-dil hamara
kise ma.alūm hāl-e-dil hamārā
mohabbat meñ hai mustaqbil hamārā
ye but bhī ḳhāna-e-dil meñ raheñge
magar īmān hai kāmil hamārā
agar ye bojh hai nāzuk badan par
kisī patthar pe rakkho dil hamārā
hameñ taqsīm hī us ne kiyā hai
mayassar hai jise hāsil hamārā
ham apnī pyaas se ubhre nahīñ haiñ
samundar ho gayā sāhil hamārā
to phir ham qatl kaise ho rahe haiñ
nahīñ jab koī bhī qātil hamārā
kise malum haal-e-dil hamara
mohabbat mein hai mustaqbil hamara
ye but bhi KHana-e-dil mein rahenge
magar iman hai kaamil hamara
agar ye bojh hai nazuk badan par
kisi patthar pe rakkho dil hamara
hamein taqsim hi us ne kiya hai
mayassar hai jise hasil hamara
hum apni pyas se ubhre nahin hain
samundar ho gaya sahil hamara
to phir hum qatl kaise ho rahe hain
nahin jab koi bhi qatil hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.