kisht-e-ummid barwar na hui
kisht-e-ummīd bārvar na huī
laakh sūraj uge sahar na huī
ham musāfir the dhuup ke ham se
nāz-bardārī-e-shajar na huī
mujh ko afsos hai ki terī taraf
sab ne dekhā mirī nazar na huī
ghar kī taqsīm ke sivā ab tak
koī taqrīb mere ghar na huī
naam merā to thā sar-e-fihrist
ittifāqan mujhe ḳhabar na huī
jaane kyā apnā haal kar letā
ḳhair guzrī use ḳhabar na huī
kisht-e-ummid barwar na hui
lakh suraj uge sahar na hui
hum musafir the dhup ke hum se
naz-bardari-e-shajar na hui
mujh ko afsos hai ki teri taraf
sab ne dekha meri nazar na hui
ghar ki taqsim ke siwa ab tak
koi taqrib mere ghar na hui
nam mera to tha sar-e-fihrist
ittifaqan mujhe KHabar na hui
jaane kya apna haal kar leta
KHair guzri use KHabar na hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.