kisi aur ne to buna nahin mera aasman mera aasman
kisī aur ne to bunā nahīñ mirā āsmāñ mirā āsmāñ
tire āsmāñ se judā nahīñ mirā āsmāñ mirā āsmāñ
ye zamīn merī zamīn hai ye jahān merā jahān hai
kisī dūsre se milā nahīñ mirā āsmāñ mirā āsmāñ
kahīñ dhuup hai kahīñ chāñdnī kahīñ rañg hai kahīñ raushnī
kahīñ āñ.suoñ se dhulā nahīñ mirā āsmāñ mirā āsmāñ
use chhū sakūñ ye junūn hai merī ruuh ko ye sukūn hai
yahāñ kab kisī kā huā nahīñ mirā āsmāñ mirā āsmāñ
girīñ bijliyāñ merī raah par ka.ī āñdhiyāñ bhī chalīñ magar
kabhī bādaloñ sā jhukā nahīñ mirā āsmāñ mirā āsmāñ
kisi aur ne to buna nahin mera aasman mera aasman
tere aasman se juda nahin mera aasman mera aasman
ye zamin meri zamin hai ye jahan mera jahan hai
kisi dusre se mila nahin mera aasman mera aasman
kahin dhup hai kahin chandni kahin rang hai kahin raushni
kahin aansuon se dhula nahin mera aasman mera aasman
use chhu sakun ye junun hai meri ruh ko ye sukun hai
yahan kab kisi ka hua nahin mera aasman mera aasman
girin bijliyan meri rah par kai aandhiyan bhi chalin magar
kabhi baadalon sa jhuka nahin mera aasman mera aasman
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.