kisi bazar mein sauda nahin hone dete
kisī bāzār meñ saudā nahīñ hone dete
vo hameñ aur kisī kā nahīñ hone dete
jab sañbhaltī hai tabī.at to chale aate haiñ aap
apne bīmār ko achchhā nahīñ hone dete
tum ne kyoñ dekhā palaT kar hameñ vaqt-e-ruḳhsat
kyoñ kisī haal meñ tanhā nahīñ hone dete
ab bhī raushan haiñ buzurgoñ kī havelī ke charāġh
ham kisī naqsh ko dhuñdlā nahīñ hone dete
kisi bazar mein sauda nahin hone dete
wo hamein aur kisi ka nahin hone dete
jab sanbhalti hai tabiat to chale aate hain aap
apne bimar ko achchha nahin hone dete
tum ne kyon dekha palaT kar hamein waqt-e-ruKHsat
kyon kisi haal mein tanha nahin hone dete
ab bhi raushan hain buzurgon ki haweli ke charagh
hum kisi naqsh ko dhundla nahin hone dete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.