kisi badan se mila mushk-bar ka matlab
kisi badan se mila mushk-bar ka matlab
Mukarram Husain Awan Zamzam
MORE BYMukarram Husain Awan Zamzam
kisī badan se milā mushk-bār kā matlab
kisī kī aañkh se phūTā ḳhumār kā matlab
phir is tarah huā ham dasht-dasht phirte rahe
tumhāre ḳhat meñ thā kyā aur ḳhvār kā matlab
tumhāre rābte dushman se gar nahīñ haiñ to
fasīl-e-shahr pe yuuñ intishār kā matlab
ḳhudā ne maañ kī mohabbat ko musta’ār liyā
kisī ne pūchhā hai parvardigār kā matlab
sulagte ko.eloñ par ik qadam lagā.eñ zarā
samajh meñ aa.egā phir intizār kā matlab
mire 'azīz abhī aap kī zarūrat hai
matā'-e-dost hai khonā udhār kā matlab
kisi badan se mila mushk-bar ka matlab
kisi ki aankh se phuTa KHumar ka matlab
phir is tarah hua hum dasht-dasht phirte rahe
tumhaare KHat mein tha kya aur KHwar ka matlab
tumhaare rabte dushman se gar nahin hain to
fasil-e-shahr pe yun intishaar ka matlab
KHuda ne man ki mohabbat ko musta’ar liya
kisi ne puchha hai parwardigar ka matlab
sulagte koelon par ek qadam lagaen zara
samajh mein aaega phir intizar ka matlab
mere 'aziz abhi aap ki zarurat hai
mata'-e-dost hai khona udhaar ka matlab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.