kisi bahane sahi dil lahu to hona hai
kisī bahāne sahī dil lahū to honā hai
is imtihāñ meñ magar surḳh-rū to honā hai
hamāre paas bashārat hai sabz mausam kī
yaqīñ kī fasl lagā.eñ numū to honā hai
maiñ us ke baare meñ itnā ziyāda sochtā huuñ
ki ek roz use rū-ba-rū to honā hai
lahūluhān raheñ ham ki shaad kaam raheñ
sharīk qāfila-e-rañg-o-bū to honā hai
koī kahānī koī raushnī koī sūrat
tulū mere ufuq se kabhū to honā hai
kisi bahane sahi dil lahu to hona hai
is imtihan mein magar surKH-ru to hona hai
hamare pas bashaarat hai sabz mausam ki
yaqin ki fasl lagaen numu to hona hai
main us ke bare mein itna ziyaada sochta hun
ki ek roz use ru-ba-ru to hona hai
lahuluhan rahen hum ki shad kaam rahen
sharik qafila-e-rang-o-bu to hona hai
koi kahani koi raushni koi surat
tulu mere ufuq se kabhu to hona hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.