kisi be-kas ke kase mein jo tu maqdur ho jae
kisī be-kas ke kaase meñ jo tū maqdūr ho jaa.e
gadā ho kar vo rashk-e-qaisar-o-maġhfūr ho jaa.e
mohabbat chāhiye dil meñ mohabbat hai to sab kuchh hai
ye hai to dil kī tārīkī sarāpā nuur ho jaa.e
mohabbat khel hai ulTā ise chāho ye khiñchtī hai
koī aa.e qarīb is ke to ye ḳhud duur ho jaa.e
zamāne ke havādis se dil-e-āshiq to patthar hai
mohabbat meñ jo ye TuuTe to chaknā-chūr ho jaa.e
jo maiñ masrūr hotā huuñ tujhe maġhmūm paatā huuñ
jo maiñ maġhmūm ho jā.ūñ to tū masrūr ho jaa.e
kisi be-kas ke kase mein jo tu maqdur ho jae
gada ho kar wo rashk-e-qaisar-o-maghfur ho jae
mohabbat chahiye dil mein mohabbat hai to sab kuchh hai
ye hai to dil ki tariki sarapa nur ho jae
mohabbat khel hai ulTa ise chaho ye khinchti hai
koi aae qarib is ke to ye KHud dur ho jae
zamane ke hawadis se dil-e-ashiq to patthar hai
mohabbat mein jo ye TuTe to chakna-chur ho jae
jo main masrur hota hun tujhe maghmum pata hun
jo main maghmum ho jaun to tu masrur ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.