kisi bhi baat ka jab etibar mushkil hai
kisī bhī baat kā jab e'tibār mushkil hai
phir aise meñ yahāñ rahnā to yaar mushkil hai
kuchh aur vus'ateñ darkār haiñ mohabbat ko
visāl-o-hijr pe dār-o-madār mushkil hai
ki muskurānā bhī paḌtā hai fātehāna hameñ
tire shikasta-diloñ kī hazār mushkil hai
sar-e-riyāsat-e-ulfat nizām hai aisā
koī mile yahāñ be-rozgār mushkil hai
udhār ḳhvāb ḳharīdeñ aur āñkheñ becheñ naqd
ye kārobār hai aur kārobār mushkil hai
tū kin fazāoñ meñ hai ai raqīb-e-‘aish-pasand
tirī ḳhizāñ se hamārī bahār mushkil hai
na us ko chūmeñ to rasta bhaTaktī haiñ sāñseñ
aur us ko chūmnā bhī baar baar mushkil hai
ab us ko milne lage ‘āshiqān-e-juz-vaqtī
lihāzā apnā shumār-o-qatār mushkil hai
kisi bhi baat ka jab e'tibar mushkil hai
phir aise mein yahan rahna to yar mushkil hai
kuchh aur wus'aten darkar hain mohabbat ko
visal-o-hijr pe dar-o-madar mushkil hai
ki muskurana bhi paDta hai fatehana hamein
tere shikasta-dilon ki hazar mushkil hai
sar-e-riyasat-e-ulfat nizam hai aisa
koi mile yahan be-rozgar mushkil hai
udhaar KHwab KHariden aur aankhen bechen naqd
ye karobar hai aur karobar mushkil hai
tu kin fazaon mein hai ai raqib-e-‘aish-pasand
teri KHizan se hamari bahaar mushkil hai
na us ko chumen to rasta bhaTakti hain sansen
aur us ko chumna bhi bar bar mushkil hai
ab us ko milne lage ‘ashiqan-e-juz-waqti
lihaza apna shumar-o-qatar mushkil hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.