kisi bhi ghair par fida nahin hua
kisī bhī ġhair par fidā nahīñ huā
bichhaḌ gayā huuñ par judā nahīñ huā
charāġh-e-intizār tābnāk hai
kisī se merā ġham chhupā nahīñ huā
bahut se vā'de apne darmiyāñ hue
jo vā'da bhī huā vafā nahīñ huā
mohabbatoñ se e'tibār uTh gayā
ziyāda is se kuchh burā nahīñ huā
janāb-e-haq kā ho yā un ke bandoñ kā
kisī kā ham se haq adā nahīñ huā
ye tere bande the banānā chāhte
maiñ tere bandoñ kā ḳhudā nahīñ huā
kisi bhi ghair par fida nahin hua
bichhaD gaya hun par juda nahin hua
charagh-e-intizar tabnak hai
kisi se mera gham chhupa nahin hua
bahut se wa'de apne darmiyan hue
jo wa'da bhi hua wafa nahin hua
mohabbaton se e'tibar uTh gaya
ziyaada is se kuchh bura nahin hua
janab-e-haq ka ho ya un ke bandon ka
kisi ka hum se haq ada nahin hua
ye tere bande the banana chahte
main tere bandon ka KHuda nahin hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.