kisi bhi haal mein ye haq-kushi gawara nahin
kisī bhī haal meñ ye haq-kushī gavāra nahīñ
lahūluhān hameñ zindagī gavāra nahīñ
vajūd ke liye laḌte raheñge āḳhir tak
salīb par bhī hameñ ḳhāmushī gavāra nahīñ
unhīñ ke naam añdhere falak se aate haiñ
jinheñ hamārī kabhī raushnī gavāra nahīñ
ḳhudā kā avval-o-āḳhir hai haq ibādat par
zamīn vaale tirī bandagī gavāra nahīñ
har ek zulm kī khul kar muḳhālifat kī hai
hameñ ye aa.inī tarmīm bhī gavāra nahīñ
hameñ bhī pās-e-adālat hai avvalīñ lekin
ye ruḳh badaltī huī munsifī gavāra nahīñ
sun ai zamīr tire saath hai 'tarāz' ab tak
tū bik gayā to tirī be-hisī gavāra nahīñ
kisi bhi haal mein ye haq-kushi gawara nahin
lahuluhan hamein zindagi gawara nahin
wajud ke liye laDte rahenge aaKHir tak
salib par bhi hamein KHamushi gawara nahin
unhin ke nam andhere falak se aate hain
jinhen hamari kabhi raushni gawara nahin
KHuda ka awwal-o-aKHir hai haq ibaadat par
zamin wale teri bandagi gawara nahin
har ek zulm ki khul kar muKHalifat ki hai
hamein ye aaini tarmim bhi gawara nahin
hamein bhi pas-e-adalat hai awwalin lekin
ye ruKH badalti hui munsifi gawara nahin
sun ai zamir tere sath hai 'taraaz' ab tak
tu bik gaya to teri be-hisi gawara nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.