kisi bhi KHanaman-barbaad se nahin hoga
kisī bhī ḳhānamāñ-barbād se nahīñ hogā
hamārā ishq to farhād se nahīñ hogā
tumhārī daad yā be-dād se nahīñ hogā
hamārā sher hai imdād se nahīñ hogā
ye lafziyāt ye bandish ye fikr farsā.ī
ye kaam vo hai jo naqqād se nahīñ hogā
yuuñ khīñchtā huuñ ġhazal meñ tire badan ke ḳhutūt
ye jān-e-man kisī bahzād se nahīñ hogā
agar huā bhī rihā.ī kā gar koī imkān
huzūr minnat-o-fariyād se nahīñ hogā
kisi bhi KHanaman-barbaad se nahin hoga
hamara ishq to farhad se nahin hoga
tumhaari dad ya be-dad se nahin hoga
hamara sher hai imdad se nahin hoga
ye lafziyat ye bandish ye fikr farsai
ye kaam wo hai jo naqqad se nahin hoga
yun khinchta hun ghazal mein tere badan ke KHutut
ye jaan-e-man kisi bahzad se nahin hoga
agar hua bhi rihai ka gar koi imkan
huzur minnat-o-fariyaad se nahin hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.