kisi dasht ka lab-e-KHushk hun jo na pae muzhda-e-ab tak
kisī dasht kā lab-e-ḳhushk huuñ jo na paa.e muzhda-e-āb tak
kabhī aa.e bhī mirī samt ko to baras na paa.e sahāb tak
maiñ talab ke dasht meñ phir chukā to ye raaz mujh pe ayaañ huā
mirī tishnagī ke ye pher haiñ ki jo aab se haiñ sarāb tak
tujhe jaan kar ye patā chalā tū maqām-e-dīd meñ aur thā
ka.ī marhale haiñ fareb ke mirī aañkh se mire ḳhvāb tak
maiñ vo ma.anī-e-ġham-e-ishq huuñ jise harf harf likhā gayā
kabhī āñsuoñ kī bayāz meñ kabhī dil se le ke kitāb tak
kisi dasht ka lab-e-KHushk hun jo na pae muzhda-e-ab tak
kabhi aae bhi meri samt ko to baras na pae sahab tak
main talab ke dasht mein phir chuka to ye raaz mujh pe ayan hua
meri tishnagi ke ye pher hain ki jo aab se hain sarab tak
tujhe jaan kar ye pata chala tu maqam-e-did mein aur tha
kai marhale hain fareb ke meri aankh se mere KHwab tak
main wo mani-e-gham-e-ishq hun jise harf harf likha gaya
kabhi aansuon ki bayaz mein kabhi dil se le ke kitab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.