kisi dil mein mere liye pyar kyun ho
kisī dil meñ mere liye pyaar kyuuñ ho
ye īsār hai aur īsār kyuuñ ho
tabāhī ho jab aarzū kā muqaddar
to dil is tabāhī se hushiyār kyuuñ ho
ye ḳhuddār honā hī laayā ḳharābī
mohabbat meñ insān ḳhuddār kyuuñ ho
koī apne hī ġham se ḳhālī kahāñ hai
jahāñ meñ koī merā ġham-ḳhvār kyuuñ ho
na pahlā sā milnā na aanā na jaanā
ab itne bhī tum mujh se bezār kyuuñ ho
isī kashmakash ne Duboyā jahāñ ko
unheñ jiit kyuuñ ho mujhe haar kyuuñ ho
jafā par nahīñ jab vo dil hī meñ nādim
nazar se nadāmat kā iz.hār kyuuñ ho
agar baḳhsh dene pe tayyār ho tum
mujhe jurm se apne inkār kyuuñ ho
kisi dil mein mere liye pyar kyun ho
ye isar hai aur isar kyun ho
tabahi ho jab aarzu ka muqaddar
to dil is tabahi se hushiyar kyun ho
ye KHuddar hona hi laya KHarabi
mohabbat mein insan KHuddar kyun ho
koi apne hi gham se KHali kahan hai
jahan mein koi mera gham-KHwar kyun ho
na pahla sa milna na aana na jaana
ab itne bhi tum mujh se bezar kyun ho
isi kashmakash ne Duboya jahan ko
unhen jit kyun ho mujhe haar kyun ho
jafa par nahin jab wo dil hi mein nadim
nazar se nadamat ka izhaar kyun ho
agar baKHsh dene pe tayyar ho tum
mujhe jurm se apne inkar kyun ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.