kisi din to hamara dard-e-dil soz-e-jigar dekho
kisī din to hamārā dard-e-dil soz-e-jigar dekho
kabhī to bhuul kar aao kabhī to pūchh kar dekho
na dekho dost ban kar tum to dushman kī nazar dekho
ḳhafā ho kar bigaḌ kar ruuTh kar dekho magar dekho
nahīñ bhartī tabī.at laakh dekho umr-bhar dekho
ḳhudā kī shaan hai aise bhī hote haiñ bashar dekho
kisī ko jab se dekhā hai dikhā.ī kuchh nahīñ detā
huī merī nazar ko dosto kis kī nazar dekho
tarastī haiñ ye āñkheñ dekhne ko dil taḌaptā hai
ziyāda se ziyāda muḳhtasar se muḳhtasar dekho
muqaddar se nibhī tum ek goyā bhole-bhāle the
koī zālim se zālim fitna-gar se fitna-gar dekho
kahī haiñ ham-nashīno dil-lagī meñ tum ne jo bāteñ
unheñ sach-much pahuñch jaa.e na ye jhūTī ḳhabar dekho
phir us par nukta-chīñ hai nukta-dāñ hai shaiḳh logoñ meñ
anāḌī paḌh rahā hai duḳht-e-raz ko duḳht-e-zar dekho
koī betāb koī mast koī chup koī hairāñ
tirī mahfil meñ goyā ik tamāshā hai jidhar dekho
tumhārī bazm baat insāniyat kī phir raqīboñ meñ
bhare haiñ aadmī kī sūratoñ ke jānvar dekho
na ho jo banda-parvar bandagī ko bandagī us kī
janāb-e-dil ḳhudā ravāq koī aur ghar dekho
nahīñ az-rū-e-qānūn-e-mohabbat jurm-e-nazzāra
to phir kyuuñ haiñ janāb-e-dil agar dekho magar dekho
use dekhā hai jis ke dekhne ko log marte haiñ
nazar baazū hamārī bhī zarā hadd-e-nazar dekho
safī' ko shā.irī se mil ga.ī har-dil-azīzī bhī
daroġh-e-maslahat-āmez bhī hai kyā hunar dekho
kisi din to hamara dard-e-dil soz-e-jigar dekho
kabhi to bhul kar aao kabhi to puchh kar dekho
na dekho dost ban kar tum to dushman ki nazar dekho
KHafa ho kar bigaD kar ruTh kar dekho magar dekho
nahin bharti tabiat lakh dekho umr-bhar dekho
KHuda ki shan hai aise bhi hote hain bashar dekho
kisi ko jab se dekha hai dikhai kuchh nahin deta
hui meri nazar ko dosto kis ki nazar dekho
tarasti hain ye aankhen dekhne ko dil taDapta hai
ziyaada se ziyaada muKHtasar se muKHtasar dekho
muqaddar se nibhi tum ek goya bhole-bhaale the
koi zalim se zalim fitna-gar se fitna-gar dekho
kahi hain ham-nashino dil-lagi mein tum ne jo baaten
unhen sach-much pahunch jae na ye jhuTi KHabar dekho
phir us par nukta-chin hai nukta-dan hai shaiKH logon mein
anaDi paDh raha hai duKHt-e-raz ko duKHt-e-zar dekho
koi betab koi mast koi chup koi hairan
teri mahfil mein goya ek tamasha hai jidhar dekho
tumhaari bazm baat insaniyat ki phir raqibon mein
bhare hain aadmi ki suraton ke jaanwar dekho
na ho jo banda-parwar bandagi ko bandagi us ki
janab-e-dil KHuda rawaq koi aur ghar dekho
nahin az-ru-e-qanun-e-mohabbat jurm-e-nazzara
to phir kyun hain janab-e-dil agar dekho magar dekho
use dekha hai jis ke dekhne ko log marte hain
nazar bazu hamari bhi zara hadd-e-nazar dekho
safi' ko shairi se mil gai har-dil-azizi bhi
darogh-e-maslahat-amez bhi hai kya hunar dekho
- Book : Kulliyat-e-Safi (Pg. 218)
- Author : Safi Auranjabadi
- Publication : Urdu Acadami Hayderabad (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.