Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi gali kisi chhat par zarur niklega

Ashfaq Husain

kisi gali kisi chhat par zarur niklega

Ashfaq Husain

MORE BYAshfaq Husain

    kisī galī kisī chhat par zarūr niklegā

    vo chāñd abr se bāhar zarūr niklegā

    ye hukmarāni-e-shab der tak nahīñ hogī

    kahīñ se mehr-e-munavvar zarūr niklegā

    isī girānī-e-shab dabīz chādar se

    numūd-e-sub.h manzar zarūr niklegā

    ḳhud apne aap se laḌnī paḌegī jang hameñ

    diloñ se ḳhauf lashkar zarūr niklegā

    ye shahr-e-shīshagarāñ hai to phir yahīñ pe kahīñ

    kisī jeb se patthar zarūr niklegā

    ġhubār-e-dil-zadagāñ ko bahut haqīr na jaan

    ye ek hashr uThā kar zarūr niklegā

    use ḳhayāl-e-dil-e-dostāñ agar aayā

    to āñsuoñ samundar zarūr niklegā

    kuredte raho vīrān bastiyoñ ye raakh

    yahīñ kahīñ pe mirā ghar zarūr niklegā

    ḳhamoshiyoñ isī sar-zamīn se 'ashfāq'

    koī na koī suḳhanvar zarūr niklegā

    kisi gali kisi chhat par zarur niklega

    wo chand abr se bahar zarur niklega

    ye hukmarani-e-shab der tak nahin hogi

    kahin se mehr-e-munawwar zarur niklega

    isi girani-e-shab ki dabiz chadar se

    numud-e-subh ka manzar zarur niklega

    KHud apne aap se laDni paDegi jang hamein

    dilon se KHauf ka lashkar zarur niklega

    ye shahr-e-shishagaran hai to phir yahin pe kahin

    kisi ki jeb se patthar zarur niklega

    ghubar-e-dil-zadagan ko bahut haqir na jaan

    ye ek hashr uTha kar zarur niklega

    use KHayal-e-dil-e-dostan agar aaya

    to aansuon ka samundar zarur niklega

    kuredte raho viran bastiyon ki ye rakh

    yahin kahin pe mera ghar zarur niklega

    KHamoshiyon ki isi sar-zamin se 'ashfaq'

    koi na koi suKHanwar zarur niklega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now