kisi habib ne lafzon ka haar bheja hai
kisī habīb ne lafzoñ kā haar bhejā hai
basā ke itr meñ dil kā ġhubār bhejā hai
huī jo shaam to apnā libās pahnā kar
shafaq ko jaise dam-e-intizār bhejā hai
kisī ne Dūbtī sub.hoñ taḌaptī shāmoñ ko
ġhazal ke jaam meñ shab kā ḳhumār bhejā hai
sajā ke dāman-e-gul ko sharāra-e-nam se
kisī ne tāj-e-dil-e-dāġhdār bhejā hai
kise bulāne ko is lāla-e-vafā ne 'hasan'
sabā ko merī taraf baar baar bhejā hai
kisi habib ne lafzon ka haar bheja hai
basa ke itr mein dil ka ghubar bheja hai
hui jo sham to apna libas pahna kar
shafaq ko jaise dam-e-intizar bheja hai
kisi ne Dubti subhon taDapti shamon ko
ghazal ke jam mein shab ka KHumar bheja hai
saja ke daman-e-gul ko sharara-e-nam se
kisi ne taj-e-dil-e-daghdar bheja hai
kise bulane ko is lala-e-wafa ne 'hasan'
saba ko meri taraf bar bar bheja hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.