Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi hakim na attar se shifa hogi

Qamar Aasi

kisi hakim na attar se shifa hogi

Qamar Aasi

MORE BYQamar Aasi

    kisī hakīm na attār se shifā hogī

    visāl-e-husn-e-tarah-dār se shifā hogī

    hamāre sar meñ hai saudā-e-vahshat-e-paiham

    hameñ jamāl-e-ruḳh-e-yār se shifā hogī

    ai teġh-e-chashm-e-sanam kar jigar pe tirchhā vaar

    agar huī to usī vaar se shifā hogī

    naqāb-e-ruḳh ko dam-e-vasl alvidā.a kahiye

    marīz-e-hijr ko dīdār se shifā hogī

    davā se baḌh ke davā hai labān-e-surḳh lams

    qatīl-e-husn ko hathiyār se shifā hogī

    dikhāyā jaa.e unheñ aa.ina barā.e shifā

    to apne aks-e-sharar-bār se shifā hogī

    phir āzmā.eñge ik nusḳha-e-ġhalat 'āsī'

    agar na aap ko ash.ār se shifā hogī

    kisi hakim na attar se shifa hogi

    visal-e-husn-e-tarah-dar se shifa hogi

    hamare sar mein hai sauda-e-wahshat-e-paiham

    hamein jamal-e-ruKH-e-yar se shifa hogi

    ai tegh-e-chashm-e-sanam kar jigar pe tirchha war

    agar hui to usi war se shifa hogi

    naqab-e-ruKH ko dam-e-wasl alwidaa kahiye

    mariz-e-hijr ko didar se shifa hogi

    dawa se baDh ke dawa hai laban-e-surKH ka lams

    qatil-e-husn ko hathiyar se shifa hogi

    dikhaya jae unhen aaina barae shifa

    to apne aks-e-sharar-bar se shifa hogi

    phir aazmaenge ek nusKHa-e-ghalat 'asi'

    agar na aap ko ashaar se shifa hogi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now