kisi ka chehra kisi par saja nahin deta
kisī kā chehra kisī par sajā nahīñ detā
kabhī fareb koī aa.ina nahīñ detā
hasad kā rañg pasandīda rañg hai sab kā
yahāñ kisī ko koī ab duā nahīñ detā
ik e'timād thā baaqī so uTh gayā vo bhī
ki bhaa.ī bhaa.ī ke ghar kā patā nahīñ detā
bujhā.e jab se hamāre charāg logoñ ne
koī daraḳht hameñ ab havā nahīñ detā
hameñ ḳhudā pe bharosa hai nā-ḳhudā pe nahīñ
ḳhudā jo detā hai vo nā-ḳhudā nahīñ detā
kisi ka chehra kisi par saja nahin deta
kabhi fareb koi aaina nahin deta
hasad ka rang pasandida rang hai sab ka
yahan kisi ko koi ab dua nahin deta
ek e'timad tha baqi so uTh gaya wo bhi
ki bhai bhai ke ghar ka pata nahin deta
bujhae jab se hamare charag logon ne
koi daraKHt hamein ab hawa nahin deta
hamein KHuda pe bharosa hai na-KHuda pe nahin
KHuda jo deta hai wo na-KHuda nahin deta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.