kisi ka KHiram-e-jawan dekhta hun
kisī kā ḳhirām-e-javāñ dekhtā huuñ
tarannum kī jū-e-ravāñ dekhtā huuñ
kabhī dekhtā huuñ sū-e-jāda-e-ġham
kabhī apnā azm-e-javāñ dekhtā huuñ
ik aisā bhī 'ālam guzartā hai mujh par
ki qadmoñ meñ donoñ jahāñ dekhtā huuñ
hijāb-e-ruḳh-e-lāla-o-gul uThā kar
mohabbat kī chingāriyāñ dekhtā huuñ
ye tamhīd hai jaur-e-tāza kī shāyad
unheñ aaj kuchh mehrbāñ dekhtā huuñ
manāzir kī be-rangiyoñ se guzar kar
manāzir kī gul-kāriyāñ dekhtā huuñ
mohabbat meñ ab us jagah huuñ ki un ko
jahāñ chāhtā huuñ vahāñ dekhtā huuñ
junūñ se vahāñ kaam letā huuñ 'shāriq'
ḳhirad ko jahāñ sar-garāñ dekhtā huuñ
kisi ka KHiram-e-jawan dekhta hun
tarannum ki ju-e-rawan dekhta hun
kabhi dekhta hun su-e-jada-e-gham
kabhi apna azm-e-jawan dekhta hun
ek aisa bhi 'alam guzarta hai mujh par
ki qadmon mein donon jahan dekhta hun
hijab-e-ruKH-e-lala-o-gul uTha kar
mohabbat ki chingariyan dekhta hun
ye tamhid hai jaur-e-taza ki shayad
unhen aaj kuchh mehrban dekhta hun
manazir ki be-rangiyon se guzar kar
manazir ki gul-kariyan dekhta hun
mohabbat mein ab us jagah hun ki un ko
jahan chahta hun wahan dekhta hun
junun se wahan kaam leta hun 'shaariq'
KHirad ko jahan sar-garan dekhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.