kisi ka sath miyan ji sada nahin raha hai
kisī kā saath miyāñ jī sadā nahīñ rahā hai
magar diloñ ko abhī sabr aa nahīñ rahā hai
yahī to hai jo ḳhayāloñ se jā nahīñ rahā hai
ye aadmī jo mirā phone uThā nahīñ rahā hai
hamāre biich koī bā-vafā nahīñ rahā hai
ye baat koī kisī ko batā nahīñ rahā hai
mire aziiz mirī ġhībatoñ meñ lag ga.e haiñ
ki ab kisī ko koī mashġhala nahīñ rahā hai
kahīñ use mirā nemul-badal na mil gayā ho
ka.ī dinoñ se mirī samt aa nahīñ rahā hai
ye chand faisla-kun sā.ateñ haiñ sab ke liye
isī liye to koī muskurā nahīñ rahā hai
sab apne apne kaTore liye khaḌe hue haiñ
kisī ke haath abhī kuchh bhī aa nahīñ rahā hai
tire gunāh se parda zarūr uTThegā
abhī to ḳhair koī bhī uThā nahīñ rahā hai
jo rañg mujh se mire nāqidīn chāhte haiñ
vo rañg merī kahānī meñ aa nahīñ rahā hai
kisi ka sath miyan ji sada nahin raha hai
magar dilon ko abhi sabr aa nahin raha hai
yahi to hai jo KHayalon se ja nahin raha hai
ye aadmi jo mera phone uTha nahin raha hai
hamare bich koi ba-wafa nahin raha hai
ye baat koi kisi ko bata nahin raha hai
mere aziz meri ghibaton mein lag gae hain
ki ab kisi ko koi mashghala nahin raha hai
kahin use mera nemul-badal na mil gaya ho
kai dinon se meri samt aa nahin raha hai
ye chand faisla-kun saaten hain sab ke liye
isi liye to koi muskura nahin raha hai
sab apne apne kaTore liye khaDe hue hain
kisi ke hath abhi kuchh bhi aa nahin raha hai
tere gunah se parda zarur uTThega
abhi to KHair koi bhi uTha nahin raha hai
jo rang mujh se mere naqidin chahte hain
wo rang meri kahani mein aa nahin raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.