kisi ka tir kisi ki kaman ho Thik nahin
kisī kā tiir kisī kī kamāñ ho Thiik nahīñ
tumhāre muñh meñ kisī kī zabāñ ho Thiik nahīñ
jo ḳhaak honā muqaddar hai apnā rañg hai ḳhuub
tamām umr dhuāñ hī dhuāñ ho Thiik nahīñ
tū mil sakā bhī to kyā aur na mil sakā bhī tū kyā
ḳhayāl-e-sūd malāl-e-ziyāñ ho Thiik nahīñ
ghanerī raat ghanā dasht ghor tanhā.ī
kahīñ pe koī ḳhayāl-e-amāñ ho Thiik nahīñ
kisi ka tir kisi ki kaman ho Thik nahin
tumhaare munh mein kisi ki zaban ho Thik nahin
jo KHak hona muqaddar hai apna rang hai KHub
tamam umr dhuan hi dhuan ho Thik nahin
tu mil saka bhi to kya aur na mil saka bhi tu kya
KHayal-e-sud malal-e-ziyan ho Thik nahin
ghaneri raat ghana dasht ghor tanhai
kahin pe koi KHayal-e-aman ho Thik nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.