kisi ke gham mein shirkat chahiye thi
kisī ke ġham meñ shirkat chāhiye thī
kisī ke ġham se fursat chāhiye thī
mirī āñkhoñ ko rāhat chāhiye thī
kisī sūrat vo sūrat chāhiye thī
kisī kī tum ko sohbat chāhiye thī
hameñ lekin mohabbat chāhiye thī
tū aise vaqt par bichhḌā hai mujh se
mujhe jab terī qurbat chāhiye thī
tujhe paane ko jo bhī chāhiye thā
vo sab thā sirf qismat chāhiye thī
tire hone se diqqat hai bahut hai
mujhe lekin ye diqqat chāhiye thī
faqat dīvār ko ghar kaise kahtā
mire sar par mujhe chhat chāhiye thī
ijāzat thī nahīñ rone kī ham ko
so rone kī ijāzat chāhiye thī
kisi ke gham mein shirkat chahiye thi
kisi ke gham se fursat chahiye thi
meri aankhon ko rahat chahiye thi
kisi surat wo surat chahiye thi
kisi ki tum ko sohbat chahiye thi
hamein lekin mohabbat chahiye thi
tu aise waqt par bichhDa hai mujh se
mujhe jab teri qurbat chahiye thi
tujhe pane ko jo bhi chahiye tha
wo sab tha sirf qismat chahiye thi
tere hone se diqqat hai bahut hai
mujhe lekin ye diqqat chahiye thi
faqat diwar ko ghar kaise kahta
mere sar par mujhe chhat chahiye thi
ijazat thi nahin rone ki hum ko
so rone ki ijazat chahiye thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.