aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi ke hijr mein yun TuT kar roya nahin karte

Hasan Abbas Raza

kisi ke hijr mein yun TuT kar roya nahin karte

Hasan Abbas Raza

MORE BYHasan Abbas Raza

    kisī ke hijr meñ yuuñ TuuT kar royā nahīñ karte

    ye apnā rañj hai aur rañj charchā nahīñ karte

    judā.ī rutoñ meñ sūrateñ dhuñdlāne lagtī haiñ

    so aise mausamoñ meñ aa.ina dekhā nahīñ karte

    ziyāda se ziyāda dil bichhā dete haiñ raste meñ

    magar jis ne bichhaḌnā ho use rokā nahīñ karte

    hamesha ik masāfat ghūmtī rahtī hai paañv meñ

    safar ke ba.ad bhī kuchh log ghar pahuñchā nahīñ karte

    tanī rassī pe dariyā paar utarnā muqaddar ho

    to phir sīnoñ meñ ġharqābī Dar rakkhā nahīñ karte

    hameñ rusvā kiyā is niiñd meñ chalne aadat ne

    vagarna jāgte meñ ham kabhī aisā nahīñ karte

    'hasan' jab laḌkhaḌā kar apne paañv pe girnā ho

    to phir eḌī pe itnī der tak ghūmā nahīñ karte

    kisi ke hijr mein yun TuT kar roya nahin karte

    ye apna ranj hai aur ranj ka charcha nahin karte

    judai ki ruton mein suraten dhundlane lagti hain

    so aise mausamon mein aaina dekha nahin karte

    ziyaada se ziyaada dil bichha dete hain raste mein

    magar jis ne bichhaDna ho use roka nahin karte

    hamesha ek masafat ghumti rahti hai panw mein

    safar ke baad bhi kuchh log ghar pahuncha nahin karte

    tani rassi pe dariya par utarna hi muqaddar ho

    to phir sinon mein gharqabi ka Dar rakkha nahin karte

    hamein ruswa kiya is nind mein chalne ki aadat ne

    wagarna jagte mein hum kabhi aisa nahin karte

    'hasan' jab laDkhaDa kar apne hi panw pe girna ho

    to phir eDi pe itni der tak ghuma nahin karte

    Source:

    Need Musafir (Pg. 30)

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now