kisi ke ishq ka mara hua hai
kisī ke ishq kā maarā huā hai
mukammal jiit ke haarā huā hai
baḌā be-dard hai vo kyā batā.eñ
hameñ to jaan se pyārā huā hai
ilāj-e-ishq hai dard-e-mohabbat
vo jis se dard kā chāra huā hai
ye kaisā rabt hai qisse meñ yaaro
kahānī kī tarah saarā huā hai
kisī ke vāste sañg-e-malāmat
kisī kī aañkh kā taarā huā hai
kisi ke ishq ka mara hua hai
mukammal jit ke haara hua hai
baDa be-dard hai wo kya bataen
hamein to jaan se pyara hua hai
ilaj-e-ishq hai dard-e-mohabbat
wo jis se dard ka chaara hua hai
ye kaisa rabt hai qisse mein yaro
kahani ki tarah sara hua hai
kisi ke waste sang-e-malamat
kisi ki aankh ka tara hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.