kisi ke ishq ka ye mustaqil aazar kya kahna
kisī ke 'ishq kā ye mustaqil āzār kyā kahnā
mubārak ho dil-e-mahzūñ tirā īsār kyā kahnā
na karte iltijā dīdār kī muusā to kyā karte
chalā aatā hai kab se vāda-e-dīdār kyā kahnā
vahī kartā huuñ jo kuchh likh chuke mere muqaddar meñ
magar phir bhī huuñ apne fe'l kā muḳhtār kyā kahnā
qadam uThte hī dil par ik qayāmat biit jaatī hai
dam-e-gulgasht us kī shoḳhī-e-raftār kyā kahnā
shab-e-hijrāñ pe merī rashk aatā hai sitāroñ ko
bharam tujh se hai merā dīda-e-bedār kyā kahnā
tire naġhmoñ se 'vāsif' ahl-e-dil masrūr hote haiñ
ba-īñ afsurdagī rañgīni-e-guftār kyā kahnā
kisi ke 'ishq ka ye mustaqil aazar kya kahna
mubarak ho dil-e-mahzun tera isar kya kahna
na karte iltija didar ki musa to kya karte
chala aata hai kab se wada-e-didar kya kahna
wahi karta hun jo kuchh likh chuke mere muqaddar mein
magar phir bhi hun apne fe'l ka muKHtar kya kahna
qadam uThte hi dil par ek qayamat bit jati hai
dam-e-gulgasht us ki shoKHi-e-raftar kya kahna
shab-e-hijran pe meri rashk aata hai sitaron ko
bharam tujh se hai mera dida-e-bedar kya kahna
tere naghmon se 'wasif' ahl-e-dil masrur hote hain
ba-in afsurdagi rangini-e-guftar kya kahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.