kisi ke ishq mein dil be-qarar kaun kare
kisī ke 'ishq meñ dil be-qarār kaun kare
vahī gunāh batā baar baar kaun kare
agar safar meñ sukūñ hai kisī musāfir ko
kahīñ Thahar ke sukūñ taar taar kaun kare
farebiyoñ meñ pareshāñ hai sab ke sab rishte
yahāñ vafāoñ pe ab e'tibār kaun kare
mohabbateñ to yahāñ chand roz hotī haiñ
tamām 'umr kā āḳhir qarār kaun kareñ
gale lagā ke kareñ har ḳhatā mu'āf mirī
baġhair maañ ke bhalā itnā pyaar kaun kare
jo ḳhauf barpā hai vo duur sab kī āñkhoñ se
tere sivā mire parvardigār kaun kare
kisi ke 'ishq mein dil be-qarar kaun kare
wahi gunah bata bar bar kaun kare
agar safar mein sukun hai kisi musafir ko
kahin Thahar ke sukun tar tar kaun kare
farebiyon mein pareshan hai sab ke sab rishte
yahan wafaon pe ab e'tibar kaun kare
mohabbaten to yahan chand roz hoti hain
tamam 'umr ka aaKHir qarar kaun karen
gale laga ke karen har KHata mu'af meri
baghair man ke bhala itna pyar kaun kare
jo KHauf barpa hai wo dur sab ki aankhon se
tere siwa mere parwardigar kaun kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.