kisi ke ishq mein ye haal-e-zar rahta hai
kisī ke ishq meñ ye hāl-e-zār rahtā hai
sukūn pā ke bhī dil be-qarār rahtā hai
vo mai-kade meñ bahut bā-vaqār rahtā hai
jo be-ḳhudī meñ bhī kuchh hoshyār rahtā hai
mujhe bahār-e-gulistāñ pe naaz ho kyūñkar
mirī nazar meñ ma.āl-e-bahār rahtā hai
dil-e-hazīñ ġham-e-daurāñ se āshnā na sahī
tumhāre ġham se magar ham-kanār rahtā hai
koī to baat hai aisī ki un ke va.adoñ par
ḳhulūs-e-dil se mujhe e'tibār rahtā hai
ba-faiz-e-josh-e-junūñ ab maiñ us maqām pe huuñ
jahāñ junūñ hī mirā rāz-dār rahtā hai
ye jāntā huuñ na aa.e haiñ vo na ā.eñge
'nasīm' phir bhī mujhe intizār rahtā hai
kisi ke ishq mein ye haal-e-zar rahta hai
sukun pa ke bhi dil be-qarar rahta hai
wo mai-kade mein bahut ba-waqar rahta hai
jo be-KHudi mein bhi kuchh hoshyar rahta hai
mujhe bahaar-e-gulistan pe naz ho kyunkar
meri nazar mein maal-e-bahaar rahta hai
dil-e-hazin gham-e-dauran se aashna na sahi
tumhaare gham se magar ham-kanar rahta hai
koi to baat hai aisi ki un ke wadon par
KHulus-e-dil se mujhe e'tibar rahta hai
ba-faiz-e-josh-e-junun ab main us maqam pe hun
jahan junun hi mera raaz-dar rahta hai
ye jaanta hun na aae hain wo na aaenge
'nasim' phir bhi mujhe intizar rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.