kisi ke nam pe nanhe diye jalate hue
kisī ke naam pe nanhe diye jalāte hue
ḳhudā ko bhuul ga.e nekiyāñ kamāte hue
vagarna baat hamārī samajh se bāhar thī
ye ishq ho gayā bas rūThte manāte hue
hamārī vāpsī āsāñ nahīñ yaqīñ maano
yahāñ tak aa.e haiñ ham kashtiyāñ jalāte hue
unheñ aziiz hai jiinā jo jī rahe haiñ yahāñ
mazāq ban ke ḳhud apnā mazāq uḌāte hue
bhaḌās dil kī nikālī ga.ī kuchh aise bhī
duā.eñ māñgī ga.iiñ chīḳhte chillāte hue
maiñ ghir gayā huuñ yahāñ par bahut se apnoñ meñ
tire liye sabhī kuchh daav par lagāte hue
kisi ke nam pe nanhe diye jalate hue
KHuda ko bhul gae nekiyan kamate hue
wagarna baat hamari samajh se bahar thi
ye ishq ho gaya bas ruThte manate hue
hamari wapsi aasan nahin yaqin mano
yahan tak aae hain hum kashtiyan jalate hue
unhen aziz hai jina jo ji rahe hain yahan
mazaq ban ke KHud apna mazaq uDate hue
bhaDas dil ki nikali gai kuchh aise bhi
duaen mangi gain chiKHte chillate hue
main ghir gaya hun yahan par bahut se apnon mein
tere liye sabhi kuchh daw par lagate hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.