kisi ke naz uThana bhi ek ibaadat hai
kisī ke naaz uThānā bhī ik ibādat hai
kisī se ḳhud ko bachānā bhī ik ibādat hai
navā-e-sher-o-tarannum se nau-e-insāñ ke
diloñ meñ pyaar jagānā bhī ik ibādat hai
agar ho izn-e-takallum to arz hai nāseh
nazar se jaam pilānā bhī ik ibādat hai
fareb-e-husn se bachnā batā rahā huuñ tujhe
kisī ko raah dikhānā bhī ik ibādat hai
jahāñ ho vasl kī ummīd bulle-shah kī tarah
vahāñ pe nāchnā gaanā bhī ik ibādat hai
rah-e-vafā ke taqāze pe sochnā kaisā
vahāñ to ḳhud ko luTānā bhī ik ibādat hai
diloñ pe ġham kī ghaTā.eñ Thahar ga.ī hoñ jahāñ
unheñ to ḳhud pe hañsānā bhī ik ibādat hai
kahīñ kisī ko Dubonā bhī kār-e-ahsan hai
kisī ko paar lagānā bhī ik ibādat hai
jahāñ pe ruuTh ke jaane se baat bantī ho
vahāñ pe ruuTh ke jaanā bhī ik ibādat hai
jahāñ ThiThur ke mare jā rahī ho rūh-e-bashar
vahāñ pe ḳhud ko jalānā bhī ik ibādat hai
kise paḌī hai mashaqqat vahāñ kare ki jahāñ
kisī se maañg ke khānā bhī ik ibādat hai
kisī ko niiñd na aa.e to dilbarī se use
thapak thapak ke sulānā bhī ik ibādat hai
diloñ ko toḌ ke hañsnā jahāñ chalan ho vahāñ
kisī kā dil na dukhānā bhī ik ibādat hai
tumhāre dar kī taraf le chale jo raah mujhe
vahāñ to Thokareñ khānā bhī ik ibādat hai
tirā shikār hai 'shāhīñ' agar salīqe se
kisī ko maar ke khānā bhī ik ibādat hai
kisi ke naz uThana bhi ek ibaadat hai
kisi se KHud ko bachana bhi ek ibaadat hai
nawa-e-sher-o-tarannum se nau-e-insan ke
dilon mein pyar jagana bhi ek ibaadat hai
agar ho izn-e-takallum to arz hai naseh
nazar se jam pilana bhi ek ibaadat hai
fareb-e-husn se bachna bata raha hun tujhe
kisi ko rah dikhana bhi ek ibaadat hai
jahan ho wasl ki ummid bulle-shah ki tarah
wahan pe nachna gana bhi ek ibaadat hai
rah-e-wafa ke taqaze pe sochna kaisa
wahan to KHud ko luTana bhi ek ibaadat hai
dilon pe gham ki ghaTaen Thahar gai hon jahan
unhen to KHud pe hansana bhi ek ibaadat hai
kahin kisi ko Dubona bhi kar-e-ahsan hai
kisi ko par lagana bhi ek ibaadat hai
jahan pe ruTh ke jaane se baat banti ho
wahan pe ruTh ke jaana bhi ek ibaadat hai
jahan ThiThur ke mare ja rahi ho ruh-e-bashar
wahan pe KHud ko jalana bhi ek ibaadat hai
kise paDi hai mashaqqat wahan kare ki jahan
kisi se mang ke khana bhi ek ibaadat hai
kisi ko nind na aae to dilbari se use
thapak thapak ke sulana bhi ek ibaadat hai
dilon ko toD ke hansna jahan chalan ho wahan
kisi ka dil na dukhana bhi ek ibaadat hai
tumhaare dar ki taraf le chale jo rah mujhe
wahan to Thokaren khana bhi ek ibaadat hai
tera shikar hai 'shahin' agar saliqe se
kisi ko mar ke khana bhi ek ibaadat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.