kisi ke naqsh-e-pa par rakh diya hai jab se sar apna
kisi ke naqsh-e-pa par rakh diya hai jab se sar apna
Ghubar Kiratpuri
MORE BYGhubar Kiratpuri
kisī ke naqsh-e-pā par rakh diyā hai jab se sar apnā
na dil apnā na jaañ apnī na ghar apnā na dar apnā
na koī kārvāñ apnā na mīr-e-kārvāñ koī
ḳhayāl-e-yār rahtā hai hamesha rāhbar apnā
kahāñ baaqī hai ab aql-o-ḳhirad se vāsta ai dil
mirā zauq-e-nazar ḳhud ban gayā hai rāhbar apnā
nasīhat karne vāloñ kā bhalā ho kyā vo samjheñge
na qaabū ishq par hai aur na hai dil par asar apnā
ḳhudā jab nāḳhudā ḳhud ban gayā hai merī kashtī kā
safīna manzileñ tai kar rahā hai be-ḳhatar apnā
muqaddar se kabhī hotā nahīñ māyūs maiñ hamdam
mujhe kis baat kā ġham ho qavī hai chārāgar apnā
'ġhubār' apnī haqīqat kuchh nahīñ hai bazm-e-hastī meñ
huuñ ḳhush-qismat habīb-e-rab huā hai chārāgar apnā
kisi ke naqsh-e-pa par rakh diya hai jab se sar apna
na dil apna na jaan apni na ghar apna na dar apna
na koi karwan apna na mir-e-karwan koi
KHayal-e-yar rahta hai hamesha rahbar apna
kahan baqi hai ab aql-o-KHirad se wasta ai dil
mera zauq-e-nazar KHud ban gaya hai rahbar apna
nasihat karne walon ka bhala ho kya wo samjhenge
na qabu ishq par hai aur na hai dil par asar apna
KHuda jab naKHuda KHud ban gaya hai meri kashti ka
safina manzilen tai kar raha hai be-KHatar apna
muqaddar se kabhi hota nahin mayus main hamdam
mujhe kis baat ka gham ho qawi hai chaaragar apna
'ghubar' apni haqiqat kuchh nahin hai bazm-e-hasti mein
hun KHush-qismat habib-e-rab hua hai chaaragar apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.