Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi ke narm taKHatub pe yun laga mujhko

Ghazanfar

kisi ke narm taKHatub pe yun laga mujhko

Ghazanfar

MORE BYGhazanfar

    kisī ke narm taḳhātub pe yuuñ lagā mujh ko

    ki jaise saare masā.il hal milā mujh ko

    kisī maqām pe vo bhī bichhaḌ ga.ī mujh se

    nigāh-e-shauq jo detī thī hausla mujh ko

    ki ham-safar ko samajhne lagā ḳhizar apnā

    zarūratoñ ne kuchh aisā safar diyā mujh ko

    tamām log dushman dikhā.ī dete haiñ

    koī batā.e ki āḳhir ye kyā huā mujh ko

    maiñ terī car ukhḌā huā koī purza

    sukūñ talab hai to merī jagah pe mujh ko

    mirā vajūd bhī qaqnus se kam nahīñ hai miyāñ

    yaqīñ na aa.e to puurī tarah jalā mujh ko

    maiñ aisā narm tabī.at kabhī na thā pahle

    zarūr lams koī us chhū gayā mujh ko

    maiñ chaah kar bhī tujhe qatl kar na pā.ūñgā

    ye kis de diyā ne bhī vāsta mujh ko

    kisi ke narm taKHatub pe yun laga mujh ko

    ki jaise sare masail ka hal mila mujh ko

    kisi maqam pe wo bhi bichhaD gai mujh se

    nigah-e-shauq jo deti thi hausla mujh ko

    ki ham-safar ko samajhne laga KHizar apna

    zaruraton ne kuchh aisa safar diya mujh ko

    tamam log hi dushman dikhai dete hain

    koi batae ki aaKHir ye kya hua mujh ko

    main teri car ka ukhDa hua koi purza

    sukun talab hai to meri jagah pe la mujh ko

    mera wajud bhi qaqnus se kam nahin hai miyan

    yaqin na aae to puri tarah jala mujh ko

    main aisa narm tabiat kabhi na tha pahle

    zarur lams koi us ka chhu gaya mujh ko

    main chah kar bhi tujhe qatl kar na paunga

    ye kis ka de diya tu ne bhi wasta mujh ko

    Source :
    • Book : Aank Mein Luknat (Pg. 66)
    • Author : Ghazanfar
    • Publication : Maktaba Jamia Ltd. (2015)
    • Edition : 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now