kisi ke pyar mein har dam gul-o-gulzar sa rahna
kisi ke pyar mein har dam gul-o-gulzar sa rahna
Neelma Naheed Durrani
MORE BYNeelma Naheed Durrani
kisī ke pyaar meñ har dam gul-o-gulzār sā rahnā
binā chakkhe kisī mai ko yuuñ hī sarshār sā rahnā
yaqīñ karnā kisī kī zaat par aur phir badal jaanā
kabhī lailā kabhī majnūñ kabhī hushiyār sā rahnā
kabhī sañg-e-malāmat sah ke is duniyā ko taj denā
kabhī apne hī raste meñ kisī dīvār sā rahnā
tumheñ kyā ho gayā hai 'nīlmā' is dasht-e-vahshat meñ
kabhī chhup-chhup ke ro lenā kabhī bīmār sā rahnā
kisi ke pyar mein har dam gul-o-gulzar sa rahna
bina chakkhe kisi mai ko yun hi sarshaar sa rahna
yaqin karna kisi ki zat par aur phir badal jaana
kabhi laila kabhi majnun kabhi hushiyar sa rahna
kabhi sang-e-malamat sah ke is duniya ko taj dena
kabhi apne hi raste mein kisi diwar sa rahna
tumhein kya ho gaya hai 'nilma' is dasht-e-wahshat mein
kabhi chhup-chhup ke ro lena kabhi bimar sa rahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.