kisī kī mehrbānī ho ga.ī hai
ayaañ dil kī kahānī ho ga.ī hai
hare mausam kī pahlī ḳhvāhisheñ uf
ḳhushī ġham kī divānī ho ga.ī hai
sabhī afrād ghar ke so ga.e haiñ
bahut lambī kahānī ho ga.ī hai
rivāyat kā hai ab bhī sahar qaa.em
har ik jiddat purānī ho ga.ī hai
pas-e-chehra milā ik aur chehra
'aqīdat paanī paanī ho ga.ī hai
kisi ki mehrbani ho gai hai
ayan dil ki kahani ho gai hai
hare mausam ki pahli KHwahishen uf
KHushi gham ki diwani ho gai hai
sabhi afrad ghar ke so gae hain
bahut lambi kahani ho gai hai
riwayat ka hai ab bhi sahar qaem
har ek jiddat purani ho gai hai
pas-e-chehra mila ek aur chehra
'aqidat pani pani ho gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.