kisī kī aañkh meñ rahtā kisī ke dil meñ rah jaatā
ġhubār-e-ġham-zada uThtā to is mushkil meñ rah jaatā
liyā hai gāhe-gāhe naqsh-e-pā-e-yār kā bosa
na vo bāhar nikaltā ye bhī armāñ dil meñ rah jaatā
sabab se nā-tavānī ke na pahuñchā kū-e-jānāñ tak
jo maiñ ghar se nikaltā pahlī hī manzil meñ rah jaatā
zamāna haath phailātā hamiyyat tark kar detā
'adam kī raah meñ gar kuchh kaf-e-sā.il meñ rah jaatā
hamesha maiñ ḳhadang-e-nāz ko rakhtā huuñ siine meñ
mire dil se nikaltā dūsre ke dil meñ rah jaatā
hamāre ḳhūn-e-nāhaq kī shahādat hashr meñ detā
agar dhabba lahū kā ḳhanjar-e-qātil meñ rah jaatā
sunā hai baa'd mere aqrabā kī ġhair hālat thī
na merī maut aatī maiñ bhī is mushkil meñ rah jaatā
mirī dariyā-e-ġham meñ maut aa jaatī to ye hotā
bas ik tūfān uTh kar dāman-e-sāhil meñ rah jaatā
yaqīñ hai yuuñ taḌaptā saare 'ālam ko ḳhabar hotī
agar dam naam ko baaqī tire ghāyal meñ rah jaatā
milā hai ḳhaak meñ majnūñ suvārat saarī mehnat thī
koī zarra jo uḌ kar gosha-e-mahmil meñ rah jaatā
lagāyā haath puurā aur kahā jallād ne hañs kar
ye kyoñ armān ik baaqī dil-e-bismil meñ rah jaatā
gayā maiñ us kī sohbat meñ ḳhushī se maut aa jaatī
bahut achchhā thā merā zikr us mahfil meñ rah jaatā
yaqīñ hai baa'd mere phir kisī kā imtihāñ hotā
jo koī zulm baaqī āsmāñ ke dil meñ rah jaatā
ġhash aayā us ko aisā hashr kartā saare 'ālam meñ
jo kuchh bhī hosh baaqī aap ke ġhāfil meñ rah jaatā
'ayādat ko tire ahbāb gar kuchh bhī na aa paa.e
'shafīq' is baat kā armān tere dil meñ rah jaatā
kisi ki aankh mein rahta kisi ke dil mein rah jata
ghubar-e-gham-zada uThta to is mushkil mein rah jata
liya hai gahe-gahe naqsh-e-pa-e-yar ka bosa
na wo bahar nikalta ye bhi arman dil mein rah jata
sabab se na-tawani ke na pahuncha ku-e-jaanan tak
jo main ghar se nikalta pahli hi manzil mein rah jata
zamana hath phailata hamiyyat tark kar deta
'adam ki rah mein gar kuchh kaf-e-sail mein rah jata
hamesha main KHadang-e-naz ko rakhta hun sine mein
mere dil se nikalta dusre ke dil mein rah jata
hamare KHun-e-nahaq ki shahadat hashr mein deta
agar dhabba lahu ka KHanjar-e-qatil mein rah jata
suna hai ba'd mere aqraba ki ghair haalat thi
na meri maut aati main bhi is mushkil mein rah jata
meri dariya-e-gham mein maut aa jati to ye hota
bas ek tufan uTh kar daman-e-sahil mein rah jata
yaqin hai yun taDapta sare 'alam ko KHabar hoti
agar dam nam ko baqi tere ghayal mein rah jata
mila hai KHak mein majnun suwarat sari mehnat thi
koi zarra jo uD kar gosha-e-mahmil mein rah jata
lagaya hath pura aur kaha jallad ne hans kar
ye kyon arman ek baqi dil-e-bismil mein rah jata
gaya main us ki sohbat mein KHushi se maut aa jati
bahut achchha tha mera zikr us mahfil mein rah jata
yaqin hai ba'd mere phir kisi ka imtihan hota
jo koi zulm baqi aasman ke dil mein rah jata
ghash aaya us ko aisa hashr karta sare 'alam mein
jo kuchh bhi hosh baqi aap ke ghafil mein rah jata
'ayaadat ko tere ahbab gar kuchh bhi na aa pae
'shafiq' is baat ka arman tere dil mein rah jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.