kisi ki chashm-e-sada yaad aai
kisī kī chashm-e-sāda yaad aa.ī
harīf-e-jām-o-bāda yaad aa.ī
huī har āfiyat madfūn jis meñ
vo dīvār-e-fatāda yaad aa.ī
savād-e-dair-o-ka.aba meñ pahuñch kar
tirī mahfil ziyāda yaad aa.ī
kisī ko be-tamannā bhuul baiThe
kisī kī be-irāda yaad aa.ī
zamāne se huā dil tang jab bhī
vo āġhosh-e-kushāda yaad aa.ī
kabhī tujh ko bhī ai sohbat farāmosh
bahār-e-jān-dāda yaad aa.ī
jo manzil chhoḌ kar aa.e haiñ 'shaukat'
vahī jāda-ba-jāda yaad aa.ī
kisi ki chashm-e-sada yaad aai
harif-e-jam-o-baada yaad aai
hui har aafiyat madfun jis mein
wo diwar-e-fatada yaad aai
sawad-e-dair-o-kaba mein pahunch kar
teri mahfil ziyaada yaad aai
kisi ko be-tamanna bhul baiThe
kisi ki be-irada yaad aai
zamane se hua dil tang jab bhi
wo aaghosh-e-kushada yaad aai
kabhi tujh ko bhi ai sohbat faramosh
bahaar-e-jaan-dada yaad aai
jo manzil chhoD kar aae hain 'shaukat'
wahi jada-ba-jada yaad aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.