kisi ki koi KHata nahin hai
kisī kī koī ḳhatā nahīñ hai
mujhe shikāyat gila nahīñ hai
rahī huuñ sab ke dukhoñ meñ shāmil
vafā kā koī sila nahīñ hai
harīf merī rahī hai duniyā
koī bhī muḳhlis milā nahīñ hai
hamīñ se 'gulshan' kī aabrū hai
guloñ meñ bū-e-vafā nahīñ hai
kisi ki koi KHata nahin hai
mujhe shikayat gila nahin hai
rahi hun sab ke dukhon mein shamil
wafa ka koi sila nahin hai
harif meri rahi hai duniya
koi bhi muKHlis mila nahin hai
hamin se 'gulshan' ki aabru hai
gulon mein bu-e-wafa nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.