Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi ki nek ho ya bad jahan mein KHu nahin chhupti

Aish Dehlvi

kisi ki nek ho ya bad jahan mein KHu nahin chhupti

Aish Dehlvi

MORE BYAish Dehlvi

    kisī nek ho bad jahāñ meñ ḳhū nahīñ chhuptī

    chhupā.e laakh ḳhushbū koī badbū nahīñ chhuptī

    zabāñ par jab talak aatī nahīñ albatta chhuptī hai

    zabāñ par jab ki aa.ī baat ai gul-rū nahīñ chhuptī

    yahāñ to tujh ko sau parde lage haiñ ahl-e-taqvā se

    bhalā rindoñ se kyuuñ ai duḳhtar-e-raz nahīñ chhuptī

    salīqa kyā kare is meñ koī betābi-e-jāñ ko

    chhupāo sau tarah jab dil ho be-qābū nahīñ chhuptī

    hijāb us meñ kahāñ hai be-hijābī jis aadat ho

    chhupā kar laakh piive gar koī daarū nahīñ chhuptī

    ruḳh-e-raushan ko tum kyuuñ chhoḌ kar zulfeñ chhupāte ho

    chamak ruḳh chhupā.e se tah-e-gesū nahīñ chhuptī

    ye riish o jubba o dastār zāhid banāvaT hai

    tabī.at be-takalluf jis ho yaksū nahīñ chhuptī

    kalām apnā abas ahl-e-dānish se chhupātā hai

    jahāñ meñ 'aish' tarz-e-shā.ir-e-ḳhush-go nahīñ chhuptī

    kisi ki nek ho ya bad jahan mein KHu nahin chhupti

    chhupae lakh KHushbu ya koi badbu nahin chhupti

    zaban par jab talak aati nahin albatta chhupti hai

    zaban par jab ki aai baat ai gul-ru nahin chhupti

    yahan to tujh ko sau parde lage hain ahl-e-taqwa se

    bhala rindon se kyun ai duKHtar-e-raz tu nahin chhupti

    saliqa kya kare is mein koi betabi-e-jaan ko

    chhupao sau tarah jab dil ho be-qabu nahin chhupti

    hijab us mein kahan hai be-hijabi jis ki aadat ho

    chhupa kar lakh piwe gar koi daru nahin chhupti

    ruKH-e-raushan ko tum kyun chhoD kar zulfen chhupate ho

    chamak ruKH ki chhupae se tah-e-gesu nahin chhupti

    ye rish o jubba o dastar zahid ki banawaT hai

    tabiat be-takalluf jis ki ho yaksu nahin chhupti

    kalam apna abas tu ahl-e-danish se chhupata hai

    jahan mein 'aish' tarz-e-shair-e-KHush-go nahin chhupti

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now