kisi ki sans ukhaDti ja rahi thi
kisī kī saañs ukhaḌtī jā rahī thī
meñ lāchārī se taktī jā rahī thī
jo pheñkī kankarī thī qabr par vo
du'ā-e-ḳhair kartī jā rahī thī
udhar thā husn kā inkār phir bhī
talab muusā kī baḌhtī jā rahī thī
tavāf-e-kā'ba kī aisī ḳhushī thī
ki merī saañs ruktī jā rahī thī
zamāne ke sitam sahte hue bhī
'zamānī' shauq kartī jā rahī thī
kisi ki sans ukhaDti ja rahi thi
mein lachaari se takti ja rahi thi
jo phenki kankari thi qabr par wo
du'a-e-KHair karti ja rahi thi
udhar tha husn ka inkar phir bhi
talab musa ki baDhti ja rahi thi
tawaf-e-ka'ba ki aisi KHushi thi
ki meri sans rukti ja rahi thi
zamane ke sitam sahte hue bhi
'zamani' shauq karti ja rahi thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.