kisi ki tarz main kab iKHtiyar karti hun
kisī kī tarz maiñ kab iḳhtiyār kartī huuñ
maiñ apne kaase ko hī ḳhud mazār kartī huuñ
maiñ yaad kartī huuñ un ko jo mujh ko chhoḌ ga.e
falak pe jab bhī sitāre shumār kartī huuñ
maiñ chāhtī huuñ mujhe DhūñDne vo aa na sake
maiñ apnī raah meñ haa.il ġhubār kartī huuñ
maiñ us ke naam ko sheroñ meñ kaise le aa.uuñ
use maiñ kaise batā.ūñ ki pyaar kartī huuñ
kalām kartī huuñ zainab ke lahje meñ 'bushrā'
maiñ diiñ kī raah meñ beTe nisār kartī huuñ
kisi ki tarz main kab iKHtiyar karti hun
main apne kase ko hi KHud mazar karti hun
main yaad karti hun un ko jo mujh ko chhoD gae
falak pe jab bhi sitare shumar karti hun
main chahti hun mujhe DhunDne wo aa na sake
main apni rah mein hail ghubar karti hun
main us ke nam ko sheron mein kaise le aaun
use main kaise bataun ki pyar karti hun
kalam karti hun zainab ke lahje mein 'bushra'
main din ki rah mein beTe nisar karti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.